Aur phir woh ajnabee ladke ne meri orr dekha.. Uss k dono aankhe bahat kuchh sahasa kehh gayi , jese koi fariyad karr raha ho , jese ye duniya ko cheekh cheekh kehh raha ho k mere jaisa khud ko badlna dena .. Aur uske galon ko chhuke nikal rahe woh ashuon k har ek katra uss ki dheh gayi pyaar ki nisaniyon ko simmat k behh chala tha , jisme uske har ek aalam ek dard ki khuli kitab tha…
Jese hi woh meri taraf dekha to main thoda ashmanjas se simmat gaya , par himmat karke baat karne ki kosish ki.. Tab pata nahi tha wanhase answer aayega ya nahi..
Aur maine pehela laffz bola “Hii”.. Woh phir meri taraf dekhne lagga aur uttar diya “Hii”.. Phir mujhe thoda comfort feel hua to maine puchh liya k ” R u ok brother ??” …” is everything alright ?? “
Na chahte hue v usne ans diya “yah , I m fine. Just need some space .” ..kayi sawal mann me Uthh rahe thhe but khud ko guilty feel karake , maine “ok ,sry brother ” bollke pehele ki tarah unn addi tedhi pagdandion me aage badhta chala… Aapne aap ko kosh raha tha main k kyun maine uss sakhs ko bewajah pareshan kiya…
Phir pichhe se kisine awaz diya..” excuse me brother ” . Maine pichhe mood k dekha to woh sakhs wonhi uss mezz k pass khada tha..

Woh meri orr badh chala tha aur saath me sham v andhero me takdil hone ko aaya tha..Pass aake ussne bade innocence k saath kaha “shall I..”…Sochte hue maine v “oh sure , plz”.. phir saath saath dono unjane brothers sham ki woh halka halka andhera ko cheerte hue park ki uss pagdandi me aage badhte chale…
Dil me phutt rahe sawal k jwalamukhi mujhse ruke v na ruka , kyun k woh sakhs k bare me jaane ka uschukta mere andar badhta hi jaa raha tha..
Toh main aapna sawalon ka pottri leke kudd pada…aur chalte chalte baaton ki jaal bunn na suru karr diya..Maine kaha ki “Hii , this z shuvam n ur good name plz ..” ..Jawab aaya “Arjun”..
Ek tarah se ek unknown bhaichara bann gaya tha aur dono hi thoda comfortable feel karr rahe thhe.. Phir main boll pada k “mayusi ka reason , wese puchhne ka hakk nahi ,but aap mere saath sanjha karr sakte hain if u don’t mind “..
Ussne thoda muskurate hue bola k
Aarz hai….
Begano se begane thhe hum ….
Bas ye ehesas nahi tha….
Jeete rahe aapna samajh karr….
Bas ye ehesas nahi tha..
Ehesas_e_ullfatt to ab hua…..!
Bas affsosh hai ….!!
Kash ..ye ullfatt pehele ho jata…!!!!!!!!
Aur hum dono ajnabee dost aage chal pade..phir (continued..)
Plz follow, like,share,n comment n plz join my fb pages” shuvam an untold truth” and “GS” to get my own sayari n writings on fb “shuvam singh pykroy” and plz plz follow “https://bluehost72.home.blog/post”..Thank u