Arjun k mitthe yaadon ko main aapne dil aur dimaag me mehsoosh karr raha tha..Na jane ek bahat hi mithi si aandekha chhap mere dil ki geherayion me judd gaya tha…phir se aur ek ek jam halak se niche uttar gaya …aur Arjun yaadon me kanhi khoya hua…, ek mithi si muskan uss k hontho se saaf chhalk raha tha..Ab kese bayan karun??…uss muskan me sachai, khusi,honesty aur deewano jesa pyaar jo mobile tourch ki roshni se aur v chamak raha tha aur uss chamak k pichhe mahjoot ek aankahi dard…Bas wohi dard se main khud ko wakif karne ki kosish me lagga hua tha..
Arjun k ghar wohi naye guest aaye hue thhe jinse ajj Arjun ka Rubaru ho raha tha.
Aur Arjun k nigahen jaa takraye unhi nigahon se jise dekh Arjun k hosh ude hue thhe..
Arjun k dil jorose dhadk raha tha aur dimag kehh raha tha “are , ye to wohi hai”.. Ek bijli uske pure badan me doudd raha tha…
Phir ek chhoti si khash ne ki awaz ne Arjun k saath saath pure mahol ki khamoshi ko todd daala aur ye neki Arjun k papa ne kar liya..Arjun aapne aapko sambhal te hue guest panda babu n unke Mrs. Ki charan chhuke shastang pranam kiya..šš.. Matlab launda maidan me uttar gaya tha , bas derr tha balle baji ka…
Arjun k taraf dekhti hui woh chehere se ek chhoti si but sharmili si smile nikli jo Arjun ko to pehele mittha gullkand ka ehesas dila raha tha par ek vram tha jo bahat jalld hi Arjun k samajh me aa hi gaya…š¤..Arjun samajh gaya k woh cute si smile uske liye nahi tha, tha to woh uss k huliye k liye jo ki woh banaya hua tha..Honestly yaar agar koi bahat hi charming girl aapko dekh raha ho aur aap nikker baniyan me ho, socho kitna awkward feel hoga…wohi haal Arjun ka ho raha tha aur bajah banne papa..š¬
Arjun turant wanha se bhaga aur jaate jaate ek chidha hua nazar uss k papa k liye wonhi chhod gaya..Gusse me aapne aap se baddbadata hua sidha kitchen me , uss k maa k pass jaa dhamka aur dialogue baji suru..”papa esa kese karte hain..pehele se bolna to chahiye tha..E papa v na hadd karte hain yaar..”..Ab pati ka burai ho raha ho toh patni toh..samajh rahe ho na..agala scene kya hua hoga… And savage indian wife/patni/mom ki orr se de dhana dhan reply suru wo v free gussa wala family coupon k saath..
Arjun ko uss k maa ne chai biscuit ka tray thama k bolle “jyada noutanki matt kar aur jaa guest ko ye chai biscuit serve kar k aa”…Ab twist ye tha k phir se esi halat me dobara…lounde ka taklif samajh rahe ho..Ab maa ki gusse wali aankho se pehele se hi shehema hua Arjun k pass koi chara v nahi tha toh tray pakde chall diya aur ek bejati ka swad uthane…
Tray leke Arjun living hall me pahancha..anadar se gussa aur sharam do no Arjun k saath de rahe thhe..Ab to Arjun ka halat parr katte murga k tarah ho chuka tha ,Bas bhagwan ko yaad karr raha tha k prabhu bas izzat bacha lena..š
Phir ek miracle hua..woh dono jhill jese aankhe peheli baar Arjun ko palke uthaye dekh rahi thi…phir kya.., bezzati gaya bhadd me, Arjun v unn aankho me kanhi kho gaya…
Phir aur ek awaz unn nigahon k dor ko bich me se marodd diya aur again ye neki Arjun k papa ne hi karr dala tha…Arjun ka mood ab kesa hua hoga khud hi sochlo…matlab ice cream khane wale hi thhe ki pighal k niche jaa gira…š”š”
Pitta ji ne kaha “Areee..beta tumhare tutorial me admission ho raha hai ki nahi..ek kam karna beta kal panda uncle ko saath lete tumhari coaching me jaana..”..bin kuchh bole Arjun bas aapne pitta ki orr dekh aapna mundi hilane laga..ššš
Arjun aaj behadd khus tha..bahar se to normal par andar to tornado , tsunami sab uchhal rahe thhe..kyun k ab unse rozz mulakat, nazrat jo hone wala tha
..
Savi bade log aapas pe baaton me busy ho gaye…aur dusri orr 2 nigahen aapas me sharmate, jhijhkte judd ne lagge thhe..Aur ek anokhi pyaar ka bizz boya jaa chuka tha….sayad yahi LOVE ka pehela padaw tha jisme 2 dil ek duje k liye dhadkna suru karr diye thhe….Aur phir…(continue..)
Plz plz follow , like , comment n share my link i.e “https://bluehost72.home.blog“
GHOST’S SMILE z nothing without u my loveable friends, seniors, readers, writers, bloggers, audiences .. GHOST’S SMILE means unquie n special as it’s GHOST’S SMILE..plz plz keep supporting to GHOST’S SMILE
One thought on “A Love Story (part-5)”