Design a site like this with WordPress.com
Get started

Need A Excuse

A Love Story (continues 3)

Dono hi unjane dost baat karte park ki entry gate k karib aa pahanche..Baaton me pata hi nahi chala k kab woh ghumaudar tiles ki pagdandiyan khatam ho gayi . Aur tavi park ki security ka whistle bajj utha jis ki awaz mujhe bilkul v achha nahi lagga ..sab ko ye ek light siren that it’s the time to clear the park ..😁

Fir Arjun sahab aur main dono park se bahar aagaye . Par mujhe thoda udas fill ho raha tha k avi tak maine Arjun ji ka udasi k reason nahi jaana .. Issi asmanjas me laga hua tha k kese Arjun se woh wajah pata karna hi hai.. wese kisika personal matter me interfere karna mujhe pasand to nahi but woh mamla pata nahi kyun bahat hi interesting lagg raha tha..😉

Gate k bahar aaye hi thhe k Arjun ne mujhse Bye kaha.. But apun ko to excitment kidda bahat jorose katt chuka tha…Toh maine passe fenkna suru kar diya..Maine Arjun se puchha “kanha , avi to mille aur chaldiye..Thoda cutting chaye shaye ho jaye” .. Usne hasste hue mere offer ko taal gaya..Phir main soch me padd gaya k agar aaj agar ye chala gaya to mera dimagi kidda ka kya hoga.. Fir dusra dao maine fenk diya k “Arjun tujhe pata hai jo tu aaj mehesoosh karr raha hai, ussi aag me main v aaj tak jaal raha hun..Sayad iss liye maine tujhme aapne aap ko dekha”…😎

Phir kya tha..uss ki nigahen mere uppar tika hua tha aur mujhe saaf saaf yaad hai Maine aashuon k 2 mottiyon ko uske aankhon me chhalakte dekha , jese maine uska dard wala naffz pakad liya ho…Mann me mere ladoo futt rahe the but sakal maine v rone wali bana liya tha bcz mera dao aapna kam karr gaya tha.. 🤫

Aur mera next dialogue ye nikla k “tum v toote ho toote hum v hai .. kyun na jam se jam chhalkaya jaye ..kya soch rahe ho dost thoda mann aur hum dono halka ho jayen ..”.. Ab Arjun k chehere pe ek smile khill gaya tha jese saalon baad banjar gullstan me koi gull khil gaya ho aur haste hue bolla “chalo , chalte hain..”.. phir kya tha nikal pade dono aapna appna toota hua dil k tukudo ko leke…Bas farak itna tha uss ka sach muchh aur aapna jhutha..🤩

Unn dino mukharjee park k pichhe, Income tax office k galli me ek foreign liquor shop hua karta tha, ab hai ki nahi pata nahi..but uss time tha..Wanha pahanch k dekha to sharabiyon ka ye lambi si bheed umadd raha tha..Arjun ko maine kaha tu chakhna,soda,panni n glass ka intezam kar main aaya aur thodi der baad main v uss bheed ka hissa bann gaya…Jese tese Karke ek OLD MONK GOLD RESERVE ka full khmba le aane me kamiyab ho gaya…utne time baki necessary saman leke Arjun v aagaya tha…Then kick on the bike n let set go…😂

Bike jake sidha ruka Kuakhai nadi k baalu k uppar janha siwaye machharon k koi v nahi tha..par haan hawa bahat hi mast chal raha tha..Ghana andhera, mobile light, glass,soda panni n rum ka combination aur saath me chakhna aur fuk fuk dhuaan nikalti cigarette n uski chhoti bindi jitni sulagta aag..Bhumi darshan karwa k Peg pe peg chadh gaye..Aur Arjun boll pada…Aur phir….(continued)

A Love Story (continues 2)

Aur phir woh ajnabee ladke ne meri orr dekha.. Uss k dono aankhe bahat kuchh sahasa kehh gayi , jese koi fariyad karr raha ho , jese ye duniya ko cheekh cheekh kehh raha ho k mere jaisa khud ko badlna dena .. Aur uske galon ko chhuke nikal rahe woh ashuon k har ek katra uss ki dheh gayi pyaar ki nisaniyon ko simmat k behh chala tha , jisme uske har ek aalam ek dard ki khuli kitab tha…

Jese hi woh meri taraf dekha to main thoda ashmanjas se simmat gaya , par himmat karke baat karne ki kosish ki.. Tab pata nahi tha wanhase answer aayega ya nahi..

Aur maine pehela laffz bola “Hii”.. Woh phir meri taraf dekhne lagga aur uttar diya “Hii”.. Phir mujhe thoda comfort feel hua to maine puchh liya k ” R u ok brother ??” …” is everything alright ?? “

Na chahte hue v usne ans diya “yah , I m fine. Just need some space .” ..kayi sawal mann me Uthh rahe thhe but khud ko guilty feel karake , maine “ok ,sry brother ” bollke pehele ki tarah unn addi tedhi pagdandion me aage badhta chala… Aapne aap ko kosh raha tha main k kyun maine uss sakhs ko bewajah pareshan kiya…

Phir pichhe se kisine awaz diya..” excuse me brother ” . Maine pichhe mood k dekha to woh sakhs wonhi uss mezz k pass khada tha..

Woh meri orr badh chala tha aur saath me sham v andhero me takdil hone ko aaya tha..Pass aake ussne bade innocence k saath kaha “shall I..”…Sochte hue maine v “oh sure , plz”.. phir saath saath dono unjane brothers sham ki woh halka halka andhera ko cheerte hue park ki uss pagdandi me aage badhte chale…

Dil me phutt rahe sawal k jwalamukhi mujhse ruke v na ruka , kyun k woh sakhs k bare me jaane ka uschukta mere andar badhta hi jaa raha tha..

Toh main aapna sawalon ka pottri leke kudd pada…aur chalte chalte baaton ki jaal bunn na suru karr diya..Maine kaha ki “Hii , this z shuvam n ur good name plz ..” ..Jawab aaya “Arjun”..

Ek tarah se ek unknown bhaichara bann gaya tha aur dono hi thoda comfortable feel karr rahe thhe.. Phir main boll pada k “mayusi ka reason , wese puchhne ka hakk nahi ,but aap mere saath sanjha karr sakte hain if u don’t mind “..

Ussne thoda muskurate hue bola k

Aarz hai….
Begano se begane thhe hum ….
Bas ye ehesas nahi tha….
Jeete rahe aapna samajh karr….
Bas ye ehesas nahi tha..
Ehesas_e_ullfatt to ab hua…..!
Bas affsosh hai ….!!
Kash ..ye ullfatt pehele ho jata…!!!!!!!!

Aur hum dono ajnabee dost aage chal pade..phir (continued..)

Plz follow, like,share,n comment n plz join my fb pages” shuvam an untold truth” and “GS” to get my own sayari n writings on fb “shuvam singh pykroy” and plz plz follow “https://bluehost72.home.blog/post”..Thank u

A Love Story

Baat hai 2019 ki..December ka mahina tha , par tarikh konsa tha yaad karne ki nakamiyab kosish aaj v kar raha hun 😊.. Tavi main Bhubaneswar me aapni coaching n lecturer ka job kiya karta tha…

Sham ka waqt tha aur thodi bahat thand mehesoosh hone lagga tha.. Sunday tha to uss din mera classes chhuti tha . Toh room me baithe baithe soche ki aaj thoda park me ghumne kyun na jaaya jaye.. Phir me nikal pada unhi thoda waqt gujarne wohi room k pass jo ek Mukharjee park tha..😁

Suraj dhire dhire paschim me angdayi lene jaa rahe the . Yun park ki tedhi medhi red tiles ki pagdandi me chalte chalte meri nigahen iss kahani k mukhya patra k uppar jaa aatka..

Park ki ek cone k mezz par ek ladka uss doobte hue suraj k taraf baithe baithe dekh raha tha.. chehere pe siskiyan lete hue shikast mujhe saaf dikh raha tha , mano jese uss k andar kuchh toot raha tha . Bas aansu chhalkte aankhe mujhe aaj v yaad hai, jese koi aapne aap hi me jung ladh raha tha .

Hum dono ek dusre se anjaan v thhe aur ajnabee v 😶 … Jee to karr raha tha puchh lun , par aapne aap me mera khayal mujhe hi khaye jaa raha tha .. Akhir puchhun to kese, kya bollun jo mujhse woh baat karne lagge..Aur phir…CONTINUED

Lockdown n Common Man

Lockdown , lockdown n again lockdown… Iss word se sab log aap aur hum v bhalibhati parichit hain..Agar pata nahi to then u r must be a millionaire or u r a POLITICIAN.. Kanhe bhaiya sach bollat hi na😉 . But this z true , mano ya na mano . 😑

Lockdown ne logon ko categorized karr diya hai..ye v sach hai..Nahi samjhe, kyun bambal ho gaya . Sidha upparse bounce.. Let’s talk..

Lockdown makes the whole world in category as Rich , middle class n poor.

1st category Rich ..ab unki baat kya Karen.. paisa itna hai k 100 salo tak lockdown agar lagg jaye to unhe kuchh farak nahi padne wala.. Agar padd v jaye to woh na k Barabar… Kyun sach likh raha hun na..kadwi hai but sach hai..

2nd category middle class n poor..Inhe ek category me iss liye rakh raha hun, kyun k farak jo lockdown me padd raha hai woh sabse jyada inhipe padd raha hai…kese???

FEW POINTS..

1. Middle class family me maximum ese hain jo padhai b kiye hain aur job v karte hain..

Lockdown aane k baad kuchh logon ki job chali gayi, kuchh logon ki salary adhi ho gayi aur kuchh log bekar baithe hain, kyun k avi job karne ja nahi sakte … upparse loan ki kiste, agar paying guest ho to gharka bhada , upparse gharka kharcha aur upparse covid affected ho gaye to gayi bhens panni me🤯..

2. Middle class wale na ghar pe beith sakte hain aur nahi kheti baddi kar sakte hain aur kheti baddi nehi aata ho to baat hi karna bekar hai bcz self respect n igo ka paplu fit hai mind ma😒..kadwi sachayi 🤢🤮..

Ye to baat wohi hua k bada beta baap ka chhota beta maa ki aur manjhle bete ko puchhe koun 🤨…

3. Chalo middle class wale jese tese gujara karvi lenge but jo garib log hain unka kya..ek din kam pe nahi gaye to daana panni band..namak kharid ne tak ka wande ho jayenge..baki logon ko udhar v mill jayega kyun k pata hai udhar louta sakte hain..garib ko koun deta hai..another kadwi sach..🤮😕

Uppar se gov tax bharo

Bank a/c ka monthly charges chahe paisa ho ya na ho bank kanha chhodta hai (EX-:GARIBO K SAVING ACCOUNT K UPPAR SBI AUR DUSRE BANKO NE MONTHLY CHARGES K NAAM PAR KAISA LOOT MACHA RAKHE HAIN)..

GOV boll raha hai 5saalon tak bina kuchh interest pe bussiness loan lo..but bank wale jo commission mangte hain woh kanha se aayega…

Pocket me dhan nahi to bazar ki baat na kare to achha..upparse har ek cheez ab bahat hi mehengi ho chuka hai..biswas ho ya na ho but sach hai..🤥

Agar pett ki bhukh k liye bahar nikle corona baad me pahanche ya na pahanche police ka danda jarur pahanch jata hai..🥺😭

Saala garib log ho ya middle class wale corona chahe mare ya na mare but ye bhukh jarur marr dega..

Kehene ka ye matlab nahi k rule todd na hai..mask pehena, sanitization karna ye humari safty k liye hai..But bhukh aur Bebasi ka koi uttar nahi🤐🤐🤐

Achha lagge to like comment n follow kijiye…warna mehendi to haathon me laggti hi hai..🤣🤣

MERA DESH DIGITAL BANN RAHA HAI..🤪

Iss nachiz ki kuchh nazrana aap sab ki khidmat me..

Aarz hai…
Har din yanha aurat hawas ka balli chadhh jati hai to kya ..
Mera desh digital bann raha hai…!


Har pal yanha kannya bhrunn ki katal hota hai to kya …
Mera desh digital bann raha hai…!


Yanha Shahidon se jyada celebrity aur politiciano ki kadar hai to kya …
Mera desh digital bann raha hai…!


Sab ko bhar pet khilane wala kissan aaj marta hai to kya ..
Mera desh digital bann raha hai…!


Aaj desh ka bhabisya short_cut aapnate hain to kya …
Mera desh digital bann raha hai…!


Talent ki kami nahi par sc/st ko hi prabdhan mille to kya …
Mera desh digital bann raha hai…!

Ab helping hand k jagah selfie bebo chalta hai to kya.. Mera desh digital bann raha hai…!

Yanha kanoon sach me andha hi hai to kya..Mera desh digital bann raha hai..!

Mantriyon K rally ko chhod corona khule sadak pe phelta hai to kya..Mera desh digital bann raha hai..!


Sarkar ko dosh de kar khud hi aapne jimedari se pichha chhudate hain to kya …
Mera desh digital bann raha hai..!


Sachai to savi ko dikhta hai par sab putla bann k jeete hain to kya …
Mera desh digital bann raha hai…!

Sarkare aayengi sarkare jayengi par rahega sab wese hi to kya …
Mera desh digital bann raha hai….!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!

Achha ya achhi lagge to follow n comment karo..wese v lockdown ka anand lijiye

Mother’s Day And Old Age Homes 🙃🤣

Maa..ye ek shabd hi hai jiske hazaron roop , hazaron rang ,kavi khatam na hone wali dular, woh sabse mehefooz uski aanchal ka chhaon aur pyaar bhari loriyan..jitna v likhu bahat kam se v bahat hi jyada kam hoga..kyun ki, woh maa hai . Jise uppar wala v mukhatib na kar sake aur jis ki aanchal ki thodi si chhaon k liye wo khud swarg se uttar aata hai , usse lafz me sawaren ki hesiyat mujh me kanha … Bas maa maa hi hoti hai…Matru diwas k pawan din par har ek maa ki charno me iss nachiz ka dandabaat pranam 🙏.😍

Few points -:

1. Social site pe happy mother’s day ka poster chipkane wale 100 %me se sale 80 %log aapni maa ki sakal v thik se baata nahi payenge..This is a bitter truth

2. Yahi jo 80% log jab aapna photo sorry poster social site pe daalte hain phir pura Ganga snan k feel aapne rom rom me khinch lete hain .

3. India me sabse jyada maa ki dulare social sites pe hi dikhayi dete hain..Tavi to India oldage homes me world me record todd raha hai..

4. Oldage homes 90% logon k pura parivar hai wo v well established n it’s true .. jinko jhuth lagge to aapna google khol k dekh sakte hain..

5. 90% oldage homes walon ki ek hi kahani n that is beta joru ka gulam bann gaya…😏😏 .. Ab kya Karen, saala ye black hole hai bahat hi khatarnak..aaj tak scientist iss ka funda suljha nahi paye to hum konse khet k mulli hain.

6 . Jinhe lagta hai budhe maa baap ko oldage home chhod dene se ya kanhi sadak par phenk dene se problem solve ho gaya , to bhai aur behen log aap v old honge aur aapki bache honge hi honge..baaki aap khud samajhdaar hai hin..

7. Writer n poet SWAMI NANTH PANDEY ji k 3 line ka ek pura upanyas k “Ek bidhwa maa ki 2 bete thhe . Mahine k 15 din bade bete k pass aur baki k 15 din chhote bete k pass khana khati thi . Saal me jis mahine me 31 din hote thhe wohi ek din woh maa bhuki rehti thi .”..

Jis K pass maa baap hain woh duniya ka sabse amir admi hota hai..😇

BHAGOOOO..CORONA PATIENT AAYA😬😬🤥🤥😷😷

Before a brief description about this particular topic lets start our wording journey with a story..

Ek din yamraj ek gaaon k taraf jaa rahe thhe k tavi unhe gaaon k bahar ek sadhu ji ne pakad liye (Dekh rahe ho Hawkeye wale baba ji🧐..jai ho🤩) aur puchh baithe yamraj ji se k “kidhrko kotaffriya ho raha hai🤨” . Yamraj v bade sistachar k saath bole yahi pass k gaaon me jaa raha hun aur saath me 1000 logon ka pass saath laya hun.. Babaji tension me..bole kya !! aur kyun..?? . Yamraj JI phirse adab k saath batiyaye k new disease ka lunch hai and 1000 vacancy mere pass hai 😇(lunch me aana jarur..aannn) . Ab babaji ka phatt gayi…Fir bimari aaya log mare 2000 aur yamraj ji overload k saath padhar rahe thhe k babaji ne phir se pakad liya aur bole maharaj aapne to bole thhe k 1000 Vacancy but double leke jaa rahe ho..ye kya mazrra hai !!🤨 . Yamraj ji muskurate hue bole vacancy to 1000 ka hi hai , baki 1000 ki to darr se phatt jane se maut hua hai aur iss me dharti k “social sites jo ki bilkul junglee hai (MSG-:naam change karo)” aur “media houses jo asli mudde ko chhod baki sab akhand chu****ami pell te rehete hain(MSG-:ab to sudhar jao saale) unki baddi kripa hai..😇

Ab moral ye hai log kyun itna darte hain..few points —

1. Kyun k logon ko darraya jata hai aur darra k murder kiya jata hai only for TRP HIKE.(Sala ye toh achha business hai be🤑).

2. Sahi jankari naa hone ki wajah se koi kisi ki madat na karna..Sala Corona agar koi positive nikal gaya matlab app log iss duniya k ho hi nahi (maa kasam). Sala ese dekhenge jese avi avi UFO se uttre ho aur galti se hospitalized hona pada to samajh lo aapki swargwas ho chuka hai..Bas luckdown khulne ki derr hai Murjha hue Phulon ki maala daal denge(MSG-:wese v photuuu me dikhne wale ko konsa patta lagega konsa fresh aur konsa basi (ADV-: JHINJHODNE WALE PUSP BHANDAR , Yahi se kharid na , mera naam matt lena nahi to dharr liye jaoge . Udhar baki hai re)). Aur aap avi avi corona se recover hoke aaye hain aur raste me koi bina mask wale dikh jaye..bhai wah chaddi me munhh ghused lenge nahi to pichhwade pe bas wo kisi aur ka hona chahiye .

3 . Moral is..sayad iss liye kisi ko agar corona hua v ho to v gharme chhup k baith jata hai..Himaat aur honsla badhana chahiye pass jane ko kon bolta hai..plz support our healthcare supporters n doctors. And police bhaiyon k v but police bhaiyon se anurodh hai agar kisi pe danda barsana ho to wo pehela sakhs ek POLITICIAN hona chahiye . Aam admi ko v bhuk lagta hai sir.

4. POLITICIAN sale itne paisa rakhe ho but phir v jholi fela rahe ho. Aur samsan me Netaon ki duty lagna chahiye Teachers ki nahi . Salary cut agar ek aam admi ka ho raha hai as luckdown me baithe baithe salary kyun to POLITICIAN v kuchh ukhad nahi rahe hain to tumhe full salary n facilities kyun?

Plz ek baar padhiye aur achha lagge to dusro ko share kijiye..n plz plz follow n comment kijiye..

Mera India mahan aur hum log harami..😆🤣😂

Few points..
1. Agar modi west bangal me corona chain ko badhawa diye to mamata banarjee aur dusre party k log konsa sanitizer spray karr rahe the to modi ko akela galli kyun..asal me sab k sab humari kaat gaye..
2. Sab ko pata hai k corona k time mass pe jaana matlab corona ko badhawa dena..phir itne log gaye the kyun..free k daaru chicken n pocket money k chakar me ..sach batana yahi hai na藍 .. sale konsa minister tum ko aake khich k le gaya tha k nahi aap nahi aaoge to me election nahi ladhunga..
3 . Mubarakho next Bangladesh westbangal bann raha hai..nahi pata sach me樂  . Are  are..to sach hai westbangal me iss bar 100%voting me 30-40% sirf woh log hain jo ki Refugee hain  matlab Rohingya..kitne bade woh hai hum log..simple bhai socho Bangladesh aapne Rohingya logon ko marr marr k kyun bhaga raha hai..aur mamta banarjee unhe citizenship kyun de rahi hai..Aur jo v indian muslim bhai hain jo Rohingya ko support karte hain likh k rakhlo woh din v aayega jab Rohingya hum logon ko matlab actual Indians ko bade pyaar se Kaffir bulenge..suruwat unho ne karr diye hain rape n murder Karke.
4. Nirmala sitaraman unhe kon laya aur kanha se laye…Respected mam mere india me aam admi ka income per anum rs100000 v nahi hai..biswas nahi hua na..main janta tha madam ji k bawander ho jayega (khopdi)..gas ,oil,sabjiyan Sab k Sab jo price aapne daala hai sunn k hi har ek indian ka gas formation ho gaya hai..chalo achha hai pichhwade pe pipe daal k cylinder bhar lenge..humanized mithen gas hi to hai..aur kya bolun..umm inhe leker kanhi dur chhod k aayo yaar..
5. Amit ji  sry chanakya ji  aur Modi ji..bhai wah kya kamal kiye hain aap log..bhai wah  bilkul maza nahi aaya..list aapki new india ki badhte hiiiiiiiii jaa raha hai..bas itna likhunga congress ne to desh k chhota chhota tukda becha par aap log to chindi chindi bechne pe tule hain. 6. Kadwi sach ye hai k hum log hi sahi nahi hai ..sab k Sab dedh sanna siyar bane baithe hain..Angur ka guchha milla to sahi hai aur na milla to sala pura angur hi khatee hai ..yahi satya hai ..agar mere likhai se kisiko taklif hui ho to maff kar dena agar nahi to khud padhiye aur dusron ko padhne ka mouka de

emotionspassion.com

Emotional musings

Whipped Owl

Sharing the voices in my brain

The Invincible India

Connecting Indian Bloggers to Readers

An Infinite Journey

By Praveena Pranavarooban

Wool-gathering!

Pondering over Random Nothings

Life Unplugged !!

Stay Amazed, Stay Weird!!

Girl and the Globe

Wandering the World One Place at a Time

Incredible Thoughts & Ideas

Different minds. Different perceptions.

bookishchronicles.wordpress.com/

reviews | interviews | recommendations

Nimz revealed

Its all about my mind..

Ananya Loves to Write...

My Passion...My Pen...

To Teach is To Love

A rendezvous of my experiences, thoughts, interests and everything that contributes to who I am as a teacher...

Thoughts Having Mass

Let's Analyse The World

A rose 🌹 a day...

rozlynwaridi.com

The Love

Love Quotes, Relationships, Bollywood, Friendship, News, Politics, Twitter, Facebook, Instagram

HindiYukti

How To & Earning Guide hindi

%d bloggers like this: